Saturday, 2024-05-18, 7:49 PM
"Ram Naresh"
Welcome Guest | RSS
Site menu
Calendar
«  December 2010  »
SuMoTuWeThFrSa
   1234
567891011
12131415161718
19202122232425
262728293031
Main » 2010 » December » 4 » Tumne Jo Meri Kabra Par..........
4:22 PM
Tumne Jo Meri Kabra Par..........

Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
Bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya……

Main so raha tha chain se, yun hi kafan e mazaar mein,
Yahan bhi sataane aa gaye, kisne pata bata diya……

Tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya
Humne tumhare ishq mein, sara chaman luta diya…..

Pucha na jeete ji kabhi, dard e dil ka haal
Aaye ho kabr par meri, mitti mein jab mila diya…..

Aaye ho mazaar par mere, dekh liya ab mera haal
Thukra ke mere pyar ko, kisi aur ko apna bana diya….

Ab ho gaya hai ilm tumhein, ek shikayat meri jaan lo
Kiya jo hashar tumne mera, apno ko begana bana diya….

Main to kafan mein hoon ab, meri baat aur hai,
Karna na unka haal wo ab, jo haal mera tumne bana diya….

Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
Bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya…..!!

Views: 831 | Added by: Terminator | Rating: 0.0/0
Total comments: 1
1 Raj  
0
Yaar Bahut Zabardast Gazhal Hai.

Name *:
Email *:
Code *:
Entries archive
Our poll
Rate my site
Total of answers: 17
Tag Board
Site friends
  • Create a free website
  • Statistics

    Total online: 1
    Guests: 1
    Users: 0
    Copyright Ram Naresh © 2010