1.
Mujhe
Udas Dekh Kar Usne Kaha
Mere Hote Huye Tummhe Koi Dukh Nahi De Sakta
Phir Kuch Aisa Hi Hua
Baad Me Jitne Bhi Dukh Mile Sab Ussi Ke Uhe….
2.
Duwa
karna yaro juda ho rahe hai,
Rahi zindagi to fir aaker milenge..
Ager mergaye to duwa karte rehna,
Aansun bahane ki koshish na karna..
3.
A
duniya badi bewafa hai samajhna,
Kahin dil lagane ki koshish na karna.
Mere doston zindagi ek safer hai samajhna,
Kahin thaher jane ki koshish na karna.
4.
Danishon
ki duniya hai sari,
Alfazon ka mydan hai sara.
Zer aur zaber ko pehechan na pao,
To mydan me aane ki koshish na karna.
5.
Kashti
ummidon ki ger sahil na paye,
To khud dub jane ki koshish na karna.
Kadam pe andhera karegi ye duniya,
Kahin dil jalane ki koshish na karma.
6.
Kabhi
ro ke muskuraye , kabhi muskura ke roye,
Jab bhi teri yaad aayi tujhe bhula ke roye,
ek tera hi to naam tha jise hazar bar likha,
Jitna likh ke khush hue us se jayada mita ke roye
7.
Akela
sa mehsus karo jab tanhai me,
Yaad meri aye jab judai me,
Mehsus karna tumhare karib hu me,
Jab chahe dekh lena apni hi parchai me.
8.
Kadam
yuhi dagmaga gaye raaste me,
Warna sambhlna hum bhi jaanthe the,
Thokar bhi lagi tho us pathar se,
Jise hum apna mante the.
9.
Kaash
woh samajthe is dil ki tadap ko,
Tho yun humein ruswa na kiya hotha.
Unki ye berukhi zulm bhi manzoor thi humein,
Bas ek baar humein samaj-liya hota.
10.
Wo
roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye
Koi majburi hogi to dil tod kar roye
Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye
11.
Mere
khwabon mein aana aapka kasur tha
Aapse dil lagana hamara kasur tha
Aap aaye the zindagi mein pal do pal ke liye
Aapko zindagi samajh lena hamara kasur tha
12.
Dard
ko zakam ne seencha hai,
Humko unki mohabbat ne roka hai,
chal diye thae char kandho par,
Par kambaqt unki bebasi ne roka hai,
Alvida keh gaye wo hame apne humsafar k sath,
Rok kar raka tha hame jane yumraj k sath,
Toot gaya hai dil mera jb sath unhone mera chora,
aaale na jaye koyi aur dil mera
isi liye maine ab yeh duniya chora…..
13.
Dosti
Ke Nam Pe Diwane Chale Aate Hai.
Shama Ke Piche Parwane Chale Aate Hai.
Tumhe Yad Na Aayee Khair. Aana Meri Maut Par.
Us Din To Begane Bhi Chale Aate Hai.
14.
Lamha
lamha intzar kiya us lamhe ke liye
or woh lamha aya bhi to bus ek lamhe ke liye,
guzarish yehi hai khuda se ke kash woh
lamha fir aye 1 lamhe ke liye .
15.
Mombati
ke andar ka dhaga bola,
mai jalta hu to tu kyu pigalti hai?
Mombati boli, jisko dil me jagah di ho wo
bichade to ansoon to niklte hai.
16.
Soch
lene se pahley mein kar arz deta huin
shayari me yaaron dil ke raaz khol deta huin
kuch apni kuch unki kahaani bahut hain
mila mila kar kissey mein duniya ko bol deta hun..!!!
17.
Tere
bichadne ka dukh hum sah nahi sakte,
bhari mahfil me kuch kah nahi sakte,
hamare girte ansu pakad ke dekh,
wo bhi kahenge hum tere bina reh nahi sakte…
18.
Dard
ko na dekhiye dard se
Dard ko bhi dard hota hai
Dard ko bhi zaroorat hai pyar ki
Aakhir pyar mein dard hee toh hamdard hota hai..
19.
Bighi
Palkon Tale Hum Ne Chupae Ansoo,
Hasna Chaha Maghar Ankh Me Ae Ansoo,
Tum Ko Malum Shaed Ho K Na Ho,
Tere Jane Pe Bhohat Hum Ne Bahae Ansoo,
Pyar Ik Khel Kaha Tha Ke Tamasha Karte,
Hum Ne Yeh Soch Ke Khud Se Bhi Chupae Ansoo,
Jo Tere Sangh Bite The Vo Din Yaad Bhohat Ae,
Hum Ne Injame Muhabat Pe Bahae Ansoo,
Tu Sada Khush Rahe,
Abad Rahe,
Shad Rahe,
Teri Ankh Me Kabhi Ek Bhi Na Ae Ansoo..
20.
Dil
se teri yaad na jaaye to kya karoon
Tasveer mein tu hi tu nazar aaye to kya karoon
Lene ko to le aayon tumhe khwaboon mein
Par neend hi na aaye to kya karoon…
|